Sunday, June 03, 2007

Munh Ki Baat

Munh ki baat sune har koi, dil ke dard ko jaane kaun
Awaazon ke bazaaron mein, khamoshi pehchaane kaun

Sadiyon sadiyon wahi tamasha, rasta rasta lambi khoj
Lekin jab hum mil jaate hain, kho jaata hai jaane kaun

Woh mera aaina hai ya main us ki parchhaai hu
Mere hi ghar mein rehta hai, mujh jaisa hi jaane kaun

Kiran kiran alsaata suraj, palak palak khulti neendein
Dheeme dheeme bikhar raha hai, zarra zarra jaane kaun

- Munh Ki Baat

1 comment:

  1. i always hv been a great fan of jagjit singh but came across dis one for the first time .can u tell me the album name .

    aur saale kabhi mera blog bhi padh liya kar :S

    ReplyDelete