Ishwar Allah, tere jahan mein nafrat kyun hai, jung hai kyun
Tera dil toh itna bada hai, insaan ka dil tang hai kyun
Kadam kadam par sarhad kyun hai, saari zameen jo teri hai
Suraj ke phere dharti hai, phir kyun itni andheri hai
Is duniye ke daaman par insaan ke lahoo ka rang hai kyun
Goonj rahi hai itni cheekhein, pyar ki baatein kaun sunay
Toot rahe hain kitne sapne, inke tukde kaun chunay
Dil ke darwaazon par taale, taalon par ye zang hai kyun

Hmm. Chori ka maal. But very good indeed.
ReplyDeleteBah. The bubble has surely burst now.
ReplyDeleteIt had to sometime, yaar. You expectations were simply too much :P
ReplyDeletethis was nice...
ReplyDelete