An unlikely conversation between two people on the morning of October 30, 1990. The venue is the Saryu Bridge, which leads into Ayodhya.
Anand Patwardhan: Aap kahan se aaye hain?
A Ganges Priest: District Eta.
AP : Aur kya karte hain aap ?
GP : Hum panda (pujari) hain Gangaji ke.
AP: Aap kya karne aaye hain yahan?
GP: Parikrama dene.
AP: Parikrama dene aaye hain?
GP: Haan.
AP: Aur Kar Seva ke liye bhi aaye hain ya nahin?
GP: Nahin. Uhun.
AP: Sirf parikrama karne aaye hain?
GP: Sirf parikrama dene.
AP: To aapko ye maloom tha ki yahan kar Seva bhi kar rahein hain Ram Janmabhoomi ke liye?
GP: Ye maloom hai. Par humko jab curfew khul gaya...aur jo humko...kal bhi humne suna ki parikrama lagegi, to phir hum aaye.
AP: Yaane aapko ye mandir ke aur masjid ke jhagde se koi lena dena nahin hai?
GP: Koi lena dena nahin hai.
AP: Apko farak nahin padta ki masjid bhi rahe ya mandir bhi rahe?
GP: Koi nahin. Hum to jake mandir mein thehrenge...ek mandir mein....yahan ek mandir hain....sagirapatti mein....wahan thehrenge.
AP: To aap ye nahin keh rahein hain ki "mandir wahin banayenge"?
GP: Hum to kuch nahin keh rahein hain. Hum to apne chashme ko khoi gaya to andhe aur ho gaye hain. Hum kya kahenge.
AP: Toh…..toh….chaliye.
A Policeman escorts the priest to the bus which will take him away from Ayodhya.
Policeman: Chasma aapka gayab ho gaya?
GP : Haan. Chasma gir gaya yahin kahin dhakka mukki mein.
I think this was the best post in whole blog. Mail me the source link, if it was not work of fiction (which i suppose not).
ReplyDelete